Insane


Bewafai Shayari

Bewafai Shayari

PAGE=3

Hum-tum
By : Gagan (Views : 615)

Koi Bijli Giri Kya Aasman Se?
Dhuwan Sa Uth Raha Hai Aashiyan Se
Mujhe Karte Ho Kyon Majboor Itna
Nikal Jaye Na Kuch Meri Zubaan Se
Kabhi To Ye Zameen-E-Dil Bhi Mehke
Kabhi To Abr Barse Aasman Se
Fareb Usne Diye Mujhko Hamesha
Magar Nikla Nahi Dilke Makaan Se
Kabhi Jharte The Muh Se Phool Par Ab
Tapakta Zeher Hai Unki Zubaan Se
Kare Jo Mundamil Zakhmon Ko Mere
Maseeha Main Wo Ab Laun Kahan Se
Badal Jaate Hai Rishte WaQt Ke Sath
Kahan Tak Aa Gaye Hum-Tum Kahan Se

 

Uski Bewafai
By : Gagan (Views : 840)

ansar-e-sidq-o-wafa uski mohabbat mein na tha
woh jo dikhta tha meri jaan woh haqiqat mein na tha
roz hota tha har ek rukh pe dil-o-jaan se fida
ek dilbar se nibhana bhi tou fitrat mein na tha
subah shihreen ke liye shaam thi laila ke liye
aur shab main bhi ek hi sohbat mein na tha
zehen pe chhaya tha lamhon ke marasim ka nasha
sochte kya woh hadd-e-fehm-o-farasat mein na tha
maine uski ki haqiqat ko aaya kar tou diya
par use raah pe lana meri kismat mein na tha

 

NAAM KAR JAYENGE
By : Gagan (Views : 615)

HUM TO AAPKO KABHI BHULA NA PAYENGE
MARR TOH JAYENGE PAR AAPKE BIN JEE NA PAYENGE
ISS BAAT SE NA DARIYE KI HUM APKO BHOOL JAYENGE
APKI HI IJAZAT NAHI MILTI VARNA HUM TOH
JEETE JI YE ZINDAGI AAPKE NAAM KR JAYENGE

 

Saath Koi Chalta Nahin
By : Gagan (Views : 755)

Door se dikhate hai rasta sabhi
do kadam saath koi chalta nahin
Duniya jalati hai is dil ko dost
khud shonk se koi jalta nahin

 

JO KARTA HAI TUMSE PYAAR
By : Gagan (Views : 798)

JO KRTA HAI TUMSE PYAAR
VOHI DETA HAI TAKLIF HAZAAR
USKE DIL ME HOTA HAI
TUMHARI HAR BAAT KE LIYE IKRAAR
KARO TUM CHAHE US SE KITNA BHI INKAAR
LAGEGAA VO TUMHE PYAARA HAR BAAR
ROOTH JAOGE TOH MANAYEGA VO
HAR BAAT PAR TUMSE KAREGA TAKRAAR
PAR EK BAAR US SE KEH KAR DEKHNA
ZINDAGI BHAR KAREGA TUMHARA INTEZAAR
TUMHARE HAR DUKH KO APNAKAR
DEGA TUMHE KHUSHIYAAN HAZAAR
KAREGA TUMHARI HIFAZAT KUCHH VAISE HI
JAISE PHULON KI HIFAJAT KAANTE KARTE HAI HAR BAAR

By : Gagan(Views : 652)

AAPKO MUJHSE GILA HOTA NA SHIKWA HOTA
MERI MAJBOORI KO GAR AAPNE SAMJHA HOTA
DARD KI YAAD MEIN BHI DARD YE BEHTAR HOTA
AAPKO MUJHSE GILA HOTA NA SHIKWA HOTA
MERI MAJBOORI KO GAR AAPNE SAMJHA HOTA
APNE ZAKHMO KA HISAAB NA RAKHA HOTA
KHWAAB JO HUMNE DEKHE THE SAB SACH HOTE
SOCHIYE GAR AISA HOTA TO KAISA HOTA

 

Chup Chap
By : Gagan (Views : 743)

wafa ke wade woh sare bhula gaya chup chap
woh mere dil ki deewarein hila gaya chup chap
gam-e-hayat ke tapte hue biyabaan mein
woh tanha chhod ke mujhko chala gaya chup chap
main jisko chhuti hoon woh zakhm dete hai
woh phool aise chGagan mein khila gaya chup chap

 

Mohabat Ke Naam Pe
By : Gagan(Views : 1122)

Mahobatt Ke Naam Pe Dil Par Gehri Chot Khayi Hai
Marham Ke Intezaar Mein Ghav Pe Runjh Bhi Bhar Aayi Hai
Kasme-Wadon Ka Koi Mol Nahi Iss Jahan Mein Aaj Samaj Mein Aaya
Jinse Ummeed Ki Thi Wafa Ki Unse Hi Aaj Humne Be-Wafai Paayi Hai
Kar To Main Bhi Sakta Hun Apna Ghum-E-Bayaan Unse
Par Main Wadon Ka Pakka, Sada Chehre Pe Muskurahat Hi Aayi Hai
Bhulane Ab Unko Main Bhi Chala Hun Mehkhane Ki Taraf
Peeta To Nahi Main Par Fir Bhi Aankhein Shabab Se Bhar Aayi Hai
Be-Rukhsat Unki Chaahat Se Kuchh Iss Kadar Ho Gaya Hun Main
Jaise Mere Sharir Se Juda Hokar Bahar Meri Rooh Nikal Aayi Hai
Socha Tha Ek Tu Hi To Mera Sahara Thi Jeene Ka
Aur Tune Hi Aaj Humari Mohabat Ki Chita Jalayi hai

 

Ek Chingari Angare Se Kam Nahi Hoti
By : Gagan(Views : 781)

Ek chingari angaar se kam nhi hoti
ek saadgi sringar se kam nhi hoti
yun to apni apni soch ka fark hai
varna DOSTI bhi PYAAR se kam nahi hoti

 

Mohabat Ke Bhi Kuch Andaz Hote Hai
By : Gagan(Views : 848)

Mohabat ke bhi kuchh andaz hote hai
Jagti ankho me bhi kuch khwab hote hai
Zaroori nahi ki gam me ansoo nikle
Muskurati ankho me bhi sailab hote hai

Socha Tha Isbar Unko Bhul Jayenge
By : Gagan(Views : 638)

Socha tha isbar unko bhul jayenge
Dekhkar bhi unko undekha kar jayenge
par jab jab samne aya chehra unka
socha isbar dekh le agli bar bhul jayenge

 

MAZAK
By : Gagan (Views : 564)

Hum ne bhi kissi se pyaar kiya tha
Thoda nahi beshumar kiya tha
Meri to zindagi hi badal gai jab us ne kaha
Are pagal maine to MAZAK kiya tha

 

Mera Dil Dukhana Chahiye Tha
By : Gagan (Views : 565)

tumhe jafa se yoon na baaz aana chahiye tha
abhi kuchh aur mera dil dukhana chahiye tha
taveel raat ke pehloo mein kab se soye hai
naveed-e-subah tujhe jag jaana chahiye tha
bujhe chiragon mein kitne hai jo jale hi nahi
savaad-e-waqt inhe jagmagaana chahiye tha
ajab na tha ke qafas saath le ke udd jaate
tadapna chahiye tha phadphadana chahiye tha
yeh meri haar ke karya-e-jaan se haara magar
bichhadne wale tujhe yaad aana chahiye tha
tamaam umr ki aasudgi-e-visal ke baad
aakhri dhoka tha khana chahiye tha

 

Dil Ka Dard
By : Gagan (Views : 807)

dard badh kar bayaan na ho jaye
yeh zameen aasmaan na ho jaye
dil mein dooba hua jo nashtar hai
mere dil ki zuban na ho jaye
dil ko lene dijiye jo lena hai
phir yeh sauda giraan na ho jaye
aah kijiye magar lateed tareen
lab tak aa kar duwa na ho jaye

 

Shehnai Ke Siva
By : Gagan (Views : 470)

Or Koi Gam Nahi Ek Teri Judai Ke Siva
Mere Hisse Me Kya Aaya Tanhai Ke Siva
Yu To Milan Ki Raate Mili Beshumar
Pyar Me Sab Kuchh Mila Shehnai Ke Siva

Chhod Diya Unhone
By : Gagan (Views : 499)

PAL AISA THA KI HUM INKAR NA KAR PAAYE
ZGaganE K DAR SE IKRAAR NA KAR PAAYE
NA THI JINKE BINA ZINDAGI MUNASIB
CHHOD DIYA UNHONE AUR HUM SAWAL NA KAR PAAYE

 

Hum Kho Gaye To
By : Gagan (Views : 433)

HUM KHO GAYE TO RAHON ME DHUNDA KAROGE TUM
HAR EK KO ROKE PUCHHA KAROGE TUM
HUM KAHETE THE HUM SE BADAO NA DOSTI
TANHAI ME BAITH KAR PHIR ROYA KAROGE TUM

 

Sookhe Gulab
By : Gagan (Views : 367)

dil ki hasraton ko humne dil mein daba ke rakha
jo mile gair bankar humse unhe bhi apna ke rakha
shayad likhi thi kismat mein apni bewafai
jo diye zakhm us bewafa ne humne seene se laga ke rakha
humari mohabbat ke chGagan ko unhone sanwara nahi
unke diye hue sookhe gulab ko humne saja ke rakha

 

Jalwa
By : Gagan (Views : 267)

JALVE NAHI HOTE TO NAJARE NAHI HOTE
CHAND KE PEHLU ME SITARE NAHI HOTE
HUM TO KARTE HAI GUM KI PARVARIS ISLIE KI
KANTO KE KHARIDDAAR SARE NAHI HOTE

 

HUM KYON ?
By : Gagan (Views : 417)

HUM KYON GUM KARE KE WO HAMEIN NA MILE
ARE GUM TO WO KARE JINHE HUM NA MILE

Bhala Kaise Bhulate Hai
By : Gagan (Views : 382)

judai dene wale tumse umeed-e-wafa kaisi
talluq toot jaye jab
mohabbat ruth jaye jab
to phir rasm-e-dua kaisi
milan ki iltizaa kaisi bhanvar mein dolti kashti pe sahil ki tGaganna kya
ukhadti saans ho to zindagi ki arzoo bhi kya
jo manzil kho chuki uski phir se justuju bhi kyun
magar dil ne tumhe kis waste se yaad rakha hai
abhi tak maine kyun khudko bahut barbaad rakha hai
hawa ke dosh par kyun naghma-e-fariyaad rakha hai
judai denewale ashnayi ki kasam tumko
tumhari bewafai kaaj adayi ki kasam tumko
mujhe itna bata dena
wafa ki chahaton ki mashalein kaise bujhate hai
nishaan kaise mitate hai
bhulana ho jinhe unko bhala kaise bhulate hai

 

EK BEWAFA
By : Gagan (Views : 516)

woh chahe tumse na kahe par tum har bar kehte ho ek bewafa se tum itna pyaar karte ho
apne dil ko itna bechain karte ho
raaton mein bistar par tanha ahein bharte ho
thandi aah bhar kar dil ko samjhate rehte ho
shaam-o-sehar us hi ka khyal karte ho
kore kagaz par tasveer us ki banate ho
jab hi haath jode rab ke aage us ki khushi chahte ho
apno mein reh kar bhi khud ko juda karte ho
apne mann ki baat doosron se chhupate rehte ho
khud par tum itna zulam kyon dhate ho
khud ki halat to dekho kyon ek bewafa par kurban hote ho
apny jevan ko kyon barbad karte ho
ek bewafa se tum itna pyaar karte ho

 

Wafaon Ka Sila
By : Gagan (Views : 1691)

dost kya khoob wafaon ka sila dete hai
har naye mod pe ek dard naya dete hai
tum se to khair ghadi bhar ka talluq raha
log sadiyon ki rafaqat bhula dete hai
kaise mumkin hai dhooan bhi na ho aur dil bhi jale
chot padti hai to patthar bhi sada dete hai
kaun hota hai museebat mein kisi ka aye dost
aag lagti hai to patte bhi hawa hi dete hai
jin pe hota hai dil ko bharossa
waqt padne pe wahi log dhoka bhi dete hai

 

Nasha Ke Mehfil
By : Gagan (Views : 1189)

nasha ke mehfil sajaa gaya hai
dil ke toote tukdon se
hazaaron nagme banaa gaya hai
yahin pe loote mukhdon se !
badan me mere nahsa chadakar
khud ko our ek dhoka diya
mout aakar jaan loot le
raath our ek mouka diya !
yaad kar ke bhi kal ko,
naadaan dil ko daant liya
nashaa ki mehfil me hee dil ki
toote tukden baant diya !
nami bhi chalee gayee hai dilse,
nikaal ke aasu, sukha diya
nasha ki baate maaf ho, yaaro !
phir se sab ko dukha diya !
intezaar ki bad duva lagee hai,
rukhi nazron ko rula diya
wafa na nibha ne ke gunaah pe
jaam se dil ko jalaa diya !

 

Tum Bewafa Kaha Tak Ho
By : Gagan (Views : 1547)

Woh Koi Aur Hi Tha, Jise Tumse Wafa Ki Ummeed Thi
Hume Toh Bus Ye Dekhna Hai, Ki Tum Bewafa Kab Tak Ho


« Back
« Home
wWw.Bhangu.Xtgem.CoM
© 2010 ! Inc - All rights reserved
online counter